Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi !
Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !
Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !
dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal
tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich
faasalaa rusvaaii kaa hai kam zaraa aahistaa chal
apane dil hii mein nahiin hai us kii maharuumii kii yaad
us kii aankhon mein bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal
koii bhii ho ham-safar 'Raashid' na ho Khush is qadar
ab ke logon mein vafaa hai kam zaraa aahistaa chal
Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main
jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main
Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main
Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main
ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main
Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main
aap bevajah pareshaan sii kyon hain maadaam
log kahate hain to phir thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hoge
nuur-e-saramaayaa se hai ruu-e-tamaddun kii jilaa
ham jahan hain vahan tahaziib nahiin pal sakatii
mufalisii hiss-e-lataafat ko mitaa detii hai
bhuuk aadaab ke sanche mein nahiin Dhal sakatii
log kahate hain to logon pe t’ajjub kaisaa
sach to kahate hain ki naadaaron kii izzat kaisii
log kahate hain – magar aap abhii tak chup hain
aap bhii kahiye Gariibon men sharaafat kaisii
nek maadaam! Bahut jald vo daur aayegaa
jab hamen ziist ke adavaar parakhane hon ge
apanii zillat kii qasam, aap kii azamat kii qasam
hamako taa’ziim ke me_aar parakhane hon ge
hamane har daur mein tazaliil sahii hai lekin
hamane har daur ke chehare ko ziyaa bakhshii hai
hamane har daur mein mehanat ke sitam jhele hain
hamane har daur ke haathon ko hinaa bakhshii hai
lekin in talKh mubaahis se bhalaa kyaa haasil
log kahate hain to phir Thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hon ge
Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee
Tanha behta baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee
Behta rehta hoon saath us ke batein kerte
Ke kabhi apni si lagti hai tanhayee
Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee
Waqt guzerte maloom nahi hota
Batein kerte kerte sula deti hai tanhayee
Hansta rehta hoon saath us ke
Ke hanstii hai tanha dekh ker meri tanhayee
Kuch kehti nahi mere bare mein
Bina kahe kuch keh jaati hai meri tanhayee
Tanha behte baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee
Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee
Kabi kabi yad main ubharty hain naksh mazi mitty mitty say
wo azmaiysh e dil o nazr ki. wo kurbatain ci wo fasilay say
kabi kabi aarzoo k sahra main Aa k rukty hain kaifilay
wo sari batain lagaun ki ci wo sary unwan wisal kay say
Nigha o dil ko karar kasa nishat o gham main kami kaha ki
wo jab milay hian tu un say har bar ki hay ulfat nai siry say
bohat giran hay yae aish e tanha kahi subak tar kahi gawara
wo dard pinha ki sari dunia rafeeq thi jis k wasty say
tumain kaho rindo muhtasib main hay aj shab kon fark asa
yae Aa k baithy hian mahkaday main wo uth kay aye hain mahkaday say
Yeh Zindagi Bari Ajeeb See,
Kabhi Gulzaar See,kabhi Bezaar See..
Kabhi Khushi Hamaray Saath Saath,
Kabhi Ghamon Kee Bersaat See..
Kabhi Toofan Mein Bhi Hain Raastay,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi...
Kabhi Do Kadam Pay Hai Zindagi,
Kabhi Sadyon Tak Intezaar See...
Kabhi Harr Pall Imtehaan Hai,
Kabhi Bin Maangay Inaam See..
Kabhi Kuch Nahi Kabhi Sab Kuch Hai,
Yeh Zindagi Bari Ajeeb See...
hum to jaisey yahaan key they hi nahin
dhoop they sayaban key they hi nahin
raastey karavan key sath rahey
marhaley karavan key they hi nahin
ab hamara makaan kis kaa hai
hum to apaney makaan key they hi nahin
in ko aandhi main hi bikharna tha
baal-o-par yahan key they hi nahin
us gali ney yeh sun ke saber kiya
janey waley yahan key they hi nahin
ho teri Khak-e-astan pey salaam
ham terey astan key they hi nahin
safar tanha nahi kartay
suno aisa nahi kartay
jisay shafaf rakhna ho
usay maila nahi kartay
Safar jis ka muqadar hai
Usay roka nahi kartay
jo dhun ho kar guzarnay ki
to phir socha nahi kartay
yeh oonchay paerr (tree) kesay hain
kahin saya nahi kartay
bohat ujray hoey ghar pay
bohat socha nahi kartay
jo mil k khud say khojaey
usay dhonda nahi kartay
chalo tum raaz ho apna
tumhain afsha nahi kartay
teri aankho ko parhtay hain
tujhay dekha nahi kartay
sahar say pooch lo mohsin
k hum soya nahi kartay
Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Kyun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!..