Suno Sird 1 Bar
Suno Sirf Aik Baar "
Tum Chahay Na Mujh Say Baat Karna
Magar Aik Iltijaa Hai Tum Say
Suno Sirf Aik Baar Mera Naam Lay Kar
Koi Bhi Achay Say Kapray Pehanana
Aur Phir Halka Halka Sa Singhar Karna
Mein To Na Tumhain Daikh Paaoongha Laikin
Suno Sirf Aik Baar Mera Naam Laikar
Aankhon Ko Band Karna
Dono Haathon Mein Chupa Kar
Ghumaan Karna Kay Mein Tumhain Daikh Raha Hoon
Foran Aaina Daikhna
Aik Tabdeeli Ho Ghi Teray Husn Mein
Jaisay Phool Shabnam Say Thoda Jhuk Gaya Ho
Suno Sirf Aik Baar Mera Naam Lai Kar
Seenay Pay Haath Rakhna
Dadhkan To Saaf Sunaaee Day Ghee
Magar Us Ki Shikaayat Ko Bhi Mehsoos Karna
|